asīrān-e-qafas sehn-e-chaman ko yaad karte haiñ
bhalā bulbul pe yuuñ bhī zulm ai sayyād karte haiñ
kamar kā tere jis dam naqsh ham ījād karte haiñ
to jaañ farmān aa kar ma.anī o bahzād karte haiñ
pas-e-murdan to rahne de zamīñ par ai sabā mujh ko
ki miTTī ḳhāksāroñ kī nahīñ barbād karte haiñ
dam-e-raftār aatī hai sadā pāzeb se terī
lahad ke ḳhastagāñ uTTho masīhā yaad karte haiñ
qafas meñ ab to ai sayyād apnā dil taḌaptā hai
bahār aa.ī hai murġhān-e-chaman fariyād karte haiñ
batā de ai nasīm-e-sub.h shāyad mar gayā majnūñ
ye kis ke phuul uThte haiñ jo gul fariyād karte haiñ
masal sach hai bashar kī qadar ne.amat ba.ad hotī hai
sunā hai aaj tak ham ko bahut vo yaad karte haiñ
lagāyā bāġhbāñ ne zaḳhm-e-kārī dil pe bulbul ke
garebāñ-chāk ġhunche haiñ to gul fariyād karte haiñ
'rasā' aage na likh ab haal apnī be-qarārī kā
ba-rañg-e-ġhuncha-lab mazmūñ tire fariyād karte haiñ