niiñd aatī hī nahīñ dhaḌke kī bas āvāz se
tañg aayā huuñ maiñ is pur-soz dil ke saaz se
dil pisā jaatā hai un kī chaal ke andāz se
haath meñ dāman liye aate haiñ vo kis naaz se
saikaḌoñ murde jalā.e ho masīhā naaz se
maut sharminda huī kyā kyā tire e.ajāz se
bāġhbāñ kunj-e-qafas meñ muddatoñ se huuñ asiir
ab khule par bhī to maiñ vāqif nahīñ parvāz se
qabr meñ rāhat se so.e the na thā mahshar kā ḳhauf
ba.az aa.e ai masīhā ham tire e.ajāz se
vaa.e ġhaflat bhī nahīñ hotī ki dam bhar chain ho
chauñk paḌtā huuñ shikast-e-hosh kī āvāz se
naaz ma.ashūqāna se ḳhālī nahīñ hai koī baat
mere lāshe ko uThā.e haiñ vo kis andāz se
qabr meñ so.e haiñ mahshar kā nahīñ khaTkā 'rasā'
chauñkne vaale haiñ kab ham suur kī āvāz se