dasht-paimā.ī kā gar qasd mukarrar hogā
har sar-e-ḳhār pa.e-ābla nashtar hogā
mai-kade se tirā dīvāna jo bāhar hogā
ek meñ shīsha aur ik haath meñ sāġhar hogā
halqa-e-chashm-e-sanam likh ke ye kahtā hai qalam
bas ki markaz se qadam apnā na bāhar hogā
dil na denā kabhī in sañg-diloñ ko yaaro
chuur hovegā jo shīsha tah-e-patthar hogā
dekh letā vo agar ruḳh kī tajallī tere
aa.ina ḳhāna-e-māyūsī meñ shashdar hogā
chaak kar Dālūñgā dāmān-e-kafan vahshat se
āstīñ se na mirā haath jo bāhar hogā
ai 'rasā' jaisā hai bargashta zamāna ham se
aisā bargashta kisī kā na muqaddar hogā