ḳhayāl-e-nāvak-e-mizhgāñ meñ bas ham sar paTakte haiñ
hamāre dil meñ muddat se ye ḳhār-e-ġham khaTakte haiñ
ruḳh-e-raushan pe us kī gesū-e-shab-gūñ laTakte haiñ
qayāmat hai musāfir rāsta din ko bhaTakte haiñ
fuġhāñ kartī hai bulbul yaad meñ gar gul ke ai gulchīñ
sadā ik aah kī aatī hai jab ġhunche chaTakte haiñ
rihā kartā nahīñ sayyād ham ko mausam-e-gul meñ
qafas meñ dam jo ghabrātā hai sar de de paTakte haiñ
uḌā dūñgā 'rasā' maiñ dhajjiyāñ dāmān-e-sahrā kī
abas ḳhār-e-bayābāñ mere dāman se aTakte haiñ