Mahirul Qadri

ai nigah-e-dost ye kya ho gaya kya kar diya

Mahirul Qadri

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1906-1978
ai nigāh-e-dost ye kyā ho gayā kyā kar diyā
pahle pahle raushnī dī phir añdherā kar diyā
aadmī ko dard-e-dil kī qadr karnī chāhiye
zindagī kī talḳhiyoñ meñ lutf paidā kar diyā
us nigāh-e-shauq kī tira-afagnī rakkhī rahī
maiñ ne pahle us ko majrūh-e-tamāshā kar diyā
un kī mahfil ke tasavvur ne phir un kī yaad ne
mere ġham-ḳhāna kī raunaq ko do-bālā kar diyā
mai-kade kī shaam aur kāñpte hāthoñ meñ jaam
tishnagī kī ḳhair ho ye kis ko rusvā kar diyā
Top Urdushayar.com