Bhartendu Harishchandra

jahan dekho wahan maujud mera kirshn pyara hai

Bhartendu Harishchandra

Banaras, Uttar pradesh, India

1850-1885
jahāñ dekho vahāñ maujūd merā kirshn pyārā hai
usī kā sab hai jalva jo jahāñ meñ āshkārā hai
bhalā maḳhlūq ḳhāliq kī sifat samjhe kahāñ qudrat
usī se neti neti ai yaar dīdoñ ne pukārā hai
na kuchh chārā chalā lāchār chāroñ haar kar baiThe
bichāre bed ne pyāre bahut tum ko bechārā hai
jo kuchh kahte haiñ ham yahī bhī tirā jalva hai ik varna
kise tāqat jo muñh khole yahāñ har shaḳhs haarā hai
tirā dam bharte haiñ hindū agar nāqūs bajtā hai
tujhe bhī shaiḳh ne pyāre azaañ de kar pukārā hai
jo but patthar haiñ to ka.abe meñ kyā juz-ḳhāk-o-patthar haiñ
bahut bhūlā hai vo is farq meñ sar jis ne maarā hai
na hote jalva-gar tum to ye girjā kab kā gir jaatā
nasārā ko bhī to āḳhir tumhārā hī sahārā hai
tumhārā nuur hai har shai meñ kah so koī tak pyāre
usī se kah ke har har tum ko hindū ne pukārā hai
gunah baḳhsho rasā.ī do 'rasā' ko apne qadmoñ tak
burā hai yā bhalā hai jaisā hai pyāre tumhārā hai
Top Urdushayar.com