ajab jauban hai gul par āmad-e-fasl-e-bahārī hai
shitāb aa sāqiyā gul-rū ki terī yādgārī hai
rihā kartā hai sayyād-e-sitamgar mausam-e-gul meñ
asīrān-e-qafas lo tum se ab ruḳhsat hamārī hai
kisī pahlū nahīñ ārām aatā tere āshiq ko
dil-e-muztar taḌaptā hai nihāyat be-qarārī hai
safā.ī dekhte hī dil phaḌak jaatā hai bismil kā
are jallād tere teġh kī kyā āb-dārī hai
dilā ab to firāq-e-yār meñ ye haal hai apnā
ki sar zaanū pe hai aur ḳhūn-e-dil āñkhoñ se jaarī hai
ilāhī ḳhair kiijo kuchh abhī se dil dhaḌaktā hai
sunā hai manzil avval kī pahlī raat bhārī hai
'rasā' mahv-e-fasāhat dost kyā dushman bhī haiñ saare
zamāne meñ tire tarz-e-suḳhan kī yādgārī hai