Bhartendu Harishchandra

ghazab hai surma de kar aaj wo bahar nikalte hain

Bhartendu Harishchandra

Banaras, Uttar pradesh, India

1850-1885
ġhazab hai surma de kar aaj vo bāhar nikalte haiñ
abhī se kuchh dil-e-muztar par apne tiir chalte haiñ
zarā dekho to ai ahl-e-suḳhan zor-e-sanā.at ko
na.ī bandish hai majnūñ nuur ke sāñche meñ Dhalte haiñ
burā ho ishq kā ye haal hai ab terī furqat meñ
ki chashm-e-ḳhūñ-chakāñ se laḳht-e-dil paiham nikalte haiñ
hilā deñge abhī ai sañg-dil tere kaleje ko
hamārī āh-e-ātish-bār se patthar pighalte haiñ
tirā ubhrā huā siina jo ham ko yaad aatā hai
to ai rashk-e-parī pahroñ kaf-e-afsos milte haiñ
kisī pahlū nahīñ chain aatā hai ushshāq ko tere
taḌapte haiñ fuġhāñ karte haiñ aur karvaT badalte haiñ
'rasā' hājat nahīñ kuchh raushnī kī kunj-e-marqad meñ
bajā.e-sham.a yaañ dāġh-e-jigar har vaqt jalte haiñ
Top Urdushayar.com