Bhartendu Harishchandra

but-e-kafir jo tu mujhse KHafa hai

Bhartendu Harishchandra

Banaras, Uttar pradesh, India

1850-1885
but-e-kāfir jo tū mujh se ḳhafā ho
nahīñ kuchh ḳhauf merā bhī ḳhudā hai
ye dar-parda sitāroñ kī sadā hai
galī-kūcha meñ gar kahiye bajā hai
raqīboñ meñ vo hoñge surḳh-rū aaj
hamāre qatl kā beḌā liyā hai
yahī hai taar us mutrib kā har roz
nayā ik raag lā kar chheḌtā hai
shunīda kai bavad mānind-e-dīd
tujhe dekhā hai hūroñ ko sunā hai
pahuñchtā huuñ jo maiñ har roz jā kar
to kahte haiñ ġhazab tū bhī 'rasā' hai
Top Urdushayar.com