dil ātish-e-hijrāñ se jalānā nahīñ achchhā
ai sho.ala-ruḳho aag lagānā nahīñ achchhā
kis gul ke tasavvur meñ hai ai laala jigar-ḳhūñ
ye daaġh kaleje pe uThānā nahīñ achchhā
aayā hai ayādat ko masīhā sar-e-bālīñ
ai marg Thahar jā abhī aanā nahīñ achchhā
sone de shab-e-vasl-e-ġharībāñ hai abhī se
ai murġh-e-sahar shor machānā nahīñ achchhā
tum jaate ho kyā jaan mirī jaatī hai sāhib
ai jān-e-jahāñ aap kā jaanā nahīñ achchhā
aa jā shab-e-furqat meñ qasam tum ko ḳhudā kī
ai maut bas ab der lagānā nahīñ achchhā
pahuñchā de sabā kūcha-e-jānāñ meñ pas-e-marg
jañgal meñ mirī ḳhaak uḌānā nahīñ achchhā
aa jaa.e na dil aap kā bhī aur kisī par
dekho mirī jaañ aañkh laḌānā nahīñ achchhā
kar dūñgā abhī hashr bapā dekhiyo jallād
dhabbā ye mire ḳhuuñ kā chhuḌānā nahīñ achchhā
ai fāḳhta us sarv-e-sahī qad kā huuñ shaidā
kū-kū kī sadā mujh ko sunānā nahīñ achchhā