Bhartendu Harishchandra

aa gai sar par qaza lo sara saman rah gaya

Bhartendu Harishchandra

Banaras, Uttar pradesh, India

1850-1885

aa ga.ī sar par qazā lo saarā sāmāñ rah gayā

ai falak kyā kyā hamāre dil meñ armāñ rah gayā

bāġhbāñ hai chaar din bāġh-e-ālam meñ bahār

phuul sab murjhā ga.e ḳhālī bayābāñ rah gayā

itnā ehsāñ aur kar lillāh ai dast-e-junūñ

baaqī gardan meñ faqat tār-e-garebāñ rah gayā

yaad aa.ī jab tumhāre ruup raushan chamak

maiñ sarāsar sūrat-e-ā.īna hairāñ rah gayā

le chale do phuul bhī is bāġh-e-ālam se na ham

vaqt-e-rahlat haif hai ḳhālī dāmāñ rah gayā

mar ga.e ham par na aa.e tum ḳhabar ko ai sanam

hausla ab dil dil meñ mirī jaañ rah gayā

nā-tavānī ne dikhāyā zor apnā ai 'rasā'

sūrat-e-naqsh-e-qadam maiñ bas numāyāñ rah gayā

Top Urdushayar.com