Bhartendu Harishchandra

baal bikhere aaj pari turbat par mere aaegi

Bhartendu Harishchandra

Banaras, Uttar pradesh, India

1850-1885
baal bikhere aaj parī turbat par mere aa.egī
maut bhī merī ek tamāsha aalam ko dikhlā.egī
mahv-e-adā ho jā.ūñgā gar vasl meñ vo sharmā.egī
bār-e-ḳhudāyā dil kī hasrat kaise phir bar aa.egī
kāhīda aisā huuñ maiñ bhī DhūñDā kare na pā.egī
merī ḳhātir maut bhī merī barsoñ sar Takrā.egī
ishq-e-butāñ meñ jab dil uljhā diin kahāñ islām kahāñ
vaa.iz kaalī zulf kī ulfat sab ko raam banā.egī
chañgā hogā jab na marīz-e-kākul-e-shab-gūñ hazrat se
aap kī ulfat iisā kī ab azmat aaj miTā.egī
bahr-ayādat bhī jo na ā.eñge na hamāre bālīñ par
barsoñ mere dil kī hasrat sar par ḳhaak uḌā.egī
dekhūñgā mehrāb-e-haram yaad aa.egī abrū-e-sanam
mere jaane se masjid bhī but-ḳhāna ban jā.egī
ġhāfil itnā husn pe ġhurra dhyān kidhar hai tauba kar
āḳhir ik din sūrat ye sab miTTī meñ mil jā.egī
aarif jo haiñ un ke haiñ bas rañj o rāhat ek 'rasā'
jaise vo guzrī hai ye bhī kisī tarah nibh jā.egī
Top Urdushayar.com