Mahirul Qadri

ab is tarah sitam-e-rozgar hota hai

Mahirul Qadri

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1906-1978
ab is tarah sitam-e-rozgār hotā hai
qafas ke sāmne zikr-e-bahār hotā hai
ḳhudā ke vāste dāman kā chaak siine do
kabhī kabhī to junūñ hoshiyār hotā hai
vafā kā zikr hī kyuuñ chheḌte haiñ ahl-e-vafā
jab un kī ḳhātir-e-nāzuk pe baar hotā hai
vo sāmne hoñ to aañsū nikal hī jaate haiñ
ye jurm vo hai jo be-iḳhtiyār hotā hai
maiñ mutma.in huuñ agarche ḳharāb hai māhaul
ḳhizāñ ke ba.ad kā aalam bahār hotā hai
Top Urdushayar.com