baiThe jo shaam se tire dar pe sahar huī
afsos ai qamar ki na mutlaq ḳhabar huī
armān-e-vasl yūñhī rahā so ga.e nasīb
jab aañkh khul ga.ī to yakāyak sahar huī
dil āshiqoñ ke chhid ga.e tirchhī nigāh se
mizhgāñ kī nok-e-dushman-e-jānī jigar huī
pachhtātā huuñ ki aañkh abas tum se laḌ ga.ī
barchhī hamāre haq meñ tumhārī nazar huī
chhānī kahāñ na ḳhaak na paayā kahīñ tumheñ
miTTī mirī ḳharāb abas dar-ba-dar huī
dhyān aa gayā jo shaam ko us zulf kā 'rasā'
uljhan meñ saarī raat hamārī basar huī