Bhartendu Harishchandra

phir aai fasl-e-gul phir zaKHm-e-dil rah rah ke pakte hain

Bhartendu Harishchandra

Banaras, Uttar pradesh, India

1850-1885
phir aa.ī fasl-e-gul phir zaḳhm-e-dil rah rah ke pakte haiñ
magar dāġh-e-jigar par sūrat-e-lāla lahakte haiñ
nasīhat hai abas nāseh bayāñ nāhaq hī bakte haiñ
jo bahke duḳht-e-raz se haiñ vo kab in se bahakte haiñ
koī jā kar kaho ye āḳhirī paiġhām us but se
are aa jā abhī dam tan meñ baaqī hai sisakte haiñ
na bosa lene dete haiñ na lagte haiñ gale mere
abhī kam-umr haiñ har baat par mujh se jhijakte haiñ
vo ġhairoñ ko adā se qatl jab bebāk karte haiñ
to us kī teġh ko ham aah kis hairat se takte haiñ
uḌā laa.e ho ye tarz-e-suḳhan kis se batāo to
dam-e-taqdīr goyā baaġh meñ bulbul chahakte haiñ
'rasā' kī hai talāsh-e-yār meñ ye dasht-paimā.ī
ki misl-e-shīsha mere paañv ke chhāle jhalakte haiñ
Top Urdushayar.com