Bhartendu Harishchandra

dil mera tir-e-sitam-gar ka nishana ho gaya

Bhartendu Harishchandra

Banaras, Uttar pradesh, India

1850-1885
dil mirā tīr-e-sitamgar kā nishāna ho gayā
āfat-e-jāñ mere haq meñ dil lagānā ho gayā
ho gayā lāġhar jo us lailā-adā ke ishq meñ
misl-e-majnūñ haal merā bhī fasāna ho gayā
ḳhāksārī ne dikhāyā ba.ad murdan bhī uruuj
āsmāñ turbat par mere shāmiyāna ho gayā
ḳhvāb-e-ġhaflat se zarā dekho to kab chauñke haiñ ham
qāfila mulk-e-adam ko jab ravāna ho gayā
fasl-e-gul meñ bhī rihā.ī kī na kuchh sūrat huī
qaid meñ sayyād mujh ko ik zamāna ho gayā
dil jalāyā sūrat-e-parvāna jab se ishq meñ
farz tab se sham.a par aañsū bahāna ho gayā
aaj tak ai dil javāb-e-ḳhat na bhejā yaar ne
nāma-bar ko bhī ga.e kitnā zamāna ho gayā
pās-e-rusvā.ī se dekho paas aa sakte nahīñ
raat aa.ī niiñd kā tum ko bahāna ho gayā
ho pareshānī sar-e-mū bhī na zulf-e-yār ko
is liye merā dil-e-sad-chāk shāna ho gayā
ba.ad murdan kaun aatā hai ḳhabar ko ai 'rasā'
ḳhatm bas kunj-e-lahad tak dostāna ho gayā
Top Urdushayar.com