fursat-e-āghī bhī dī lazzat-e-be-ḳhudī bhī dī
maut ke saath saath hī aap ne āgahī bhī dī
soz-e-darūñ atā kiyā jurat-e-āshiqī bhī dī
un kī nigāh-e-nāz ne ġham hī nahīñ ḳhushī bhī dī
us ne niyāz-o-nāz ke saare varaq ulaT diye
dast-e-ḳhalīl bhī diyā san.at-e-āzrī bhī dī
phir bhī mirī nigāh meñ donoñ jahāñ siyāh the
merī shab-e-firāq ko chāñd ne raushnī bhī dī
aap ne ik nigāh meñ sab ko nihāl kar diyā
phuul ko muskurāhaTeñ mauj ko bekalī bhī dī
chhīn lo mujh se dosto tāqat-e-arz-e-mudda.ā
us ne mizāj-e-yār ko dāvat-e-barhamī bhī dī
dām-e-ta.ayyunāt meñ diida o dil ulajh ga.e
soz-e-yaqīñ ke saath saath lazzat-e-kāfrī bhī dī
māhir'-e-dil-fagār par aap kī ye navāzisheñ
fitrat-e-āshiqī bhī dī daulat-e-shā.irī bhī dī