ehsās-e-ḳhushī miT jaatā hai afsurda tabī.at hotī hai
dil par vo ghaḌī bhī aatī hai jab ġham kī zarūrat hotī hai
do harf bhī mere sun na sake tum itne kyuuñ bezār hue
maiñ ne tumheñ apnā samjhā thā apnoñ se shikāyat hotī hai
ye sūd-o-ziyāñ ke paimāne ye jhūTe sachche afsāne
in ahl-e-havas kī bātoñ se badnām mohabbat hotī hai
ik dūsrī botal aane tak ye durd-e-tah-e-sāġhar hī sahī
aur tishna-e-mai betāb na ho saaqī ko nadāmat hotī hai
'māhir' kī saada bātoñ se allāh bachātā hai rakkhe
ḳhud to ye baḌe hī hazrat haiñ auroñ ko nasīhat hotī hai