is samundar pe ik ilzām hī dhar jaanā hai
paas sāhil ke mujhe pyaas se mar jaanā hai
kyuuñ dikhāte ho shikasta se purāne raste
mujh ko to ik na.e sapnoñ ke nagar jaanā hai
āḳhirī moḌ pe pahuñchī hai kahānī lekin
Dhal ga.ī raat chalo luuT ke ghar jaanā hai
biich meñ lafz the tarsīl kī nākāmī thī
maiñ ne us ko mujhe us ne bhī digar jaanā hai
itnī āsān nahīñ shā.erī 'ādil'-sāhab
lafz-o-ma.anī ke samundar meñ utar jaanā hai