dil jis kā dard-e-ishq kā hāmil nahīñ rahā
vo shaḳhs tere pyaar ke qābil nahīñ rahā
jab bhī hinā.ī hāthoñ se gesū sañvar ga.e
ā.īna-e-bahār muqābil nahīñ rahā
har āstāñ se lauT ke aanā paḌā use
jo tere dar pe aane ke qābil nahīñ rahā
mahrūmiyāñ hī jis kā muqaddar haiñ dosto
vo mahfil-e-nashāt ke qābil nahīñ rahā
jab tum na the to kuchh bhī nahīñ thā bahār meñ
tum aa ga.e to koī muqābil nahīñ rahā
dīvāne tere Duub ga.e gahrī niiñd meñ
zindāñ meñ shor-e-tauq-o-salāsil nahīñ rahā
jab aap muskurā.e ġham-e-dil kī baat par
dil dard ko chhupāne ke qābil nahīñ rahā
tanhā.iyoñ kī bazm hī achchhī rahī 'ḳhayāl'
mahfil meñ pur-sukūn kabhī dil nahīñ rahā