chashm-e-nam par muskurā kar chal diye
aag paanī meñ lagā kar chal diye
saarī mahfil laḌkhaḌātī rah ga.ī
mast āñkhoñ se pilā kar chal diye
gard-e-manzil aaj tak hai be-qarār
ik qayāmat hī uThā kar chal diye
merī ummīdoñ kī duniyā hil ga.ī
naaz se dāman bachā kar chal diye
muḳhtalif andāz se dekhā kiye
sab kī nazreñ aazmā kar chal diye
gulsitāñ meñ aap aa.e bhī to kyā
chand kaliyoñ ko hañsā kar chal diye
vajd meñ aa kar havā.eñ rah ga.iiñ
zer-e-lab kuchh gungunā kar chal diye
vo fazā vo chaudhvīñ kī chāñdnī
husn kī shabnam girā kar chal diye
vo tabassum vo adā.eñ vo nigāh
sab ko dīvāna banā kar chal diye
kuchh ḳhabar un kī bhī hai 'māhir' tumheñ
aap to ġhazleñ sunā kar chal diye