jaane kyā soch ke us ne sitam ījād kiyā
ḳhud bhī barbād huā mujh ko bhī barbād kiyā
sham.a kī tarah jale ham tirī mahfil meñ magar
tū ne kis vaqt hameñ kaun sī shab yaad kiyā
jumbish-e-lab kī ijāzat hai na izn-e-parvāz
kis liye tū ne mujhe qaid se āzād kiyā
shukr hai tū ne mujhe dard ke qābil samjhā
terī paimāñ-shikanī ne mirā dil shaad kiyā
haa.e us shaḳhs kī ḳhātir-shikanī hotī hai
jis ne apne ko tirī yaad meñ barbād kiyā
apnī barbādī pe nāzāñ bhī huuñ hairān bhī huuñ
sham.eñ raushan huiiñ jab maiñ ne tujhe yaad kiyā
tujh ko ye naaz ki to ḳhāliq-e-naġhma hai 'ḳhayāl'
mujh ko ye faḳhr ki tū ne mujhe barbād kiyā