Faiz ul Hasan Khayal

subh-e-nau lati hai har sham tumhein kya malum

Faiz ul Hasan Khayal

Hyderabad, Telangana, India

sub.h-e-nau laatī hai har shaam tumheñ kyā ma.alūm
zaḳhm ḳhushiyoñ ke haiñ paiġhām tumheñ kyā ma.alūm
bhuul kar bhī jo kisī bazm meñ aayā na gayā
saiñkaḌoñ us pe haiñ ilzām tumheñ kyā ma.alūm
log gulshan meñ to chalte haiñ sar-afrāzī se
un meñ kitne haiñ tah-e-dām tumheñ kyā ma.alūm
kuchh añdhere bhī ḳhatāvār-e-tabāhī haiñ magar
raushnī par bhī hai ilzām tumheñ kyā ma.alūm
jis ko tum DhūñDte ho sham-e-ruḳh-e-nāz liye
vo to arse se hai gumnām tumheñ kyā ma.alūm
jo ruḳh-e-zīst pe thā harf-e-ġhalat kī mānind
mil rahā hai use in.aam tumheñ kyā ma.alūm
jo kafan bāñdh ke chalte haiñ vafā kī rah meñ
zindagī kar chuke nīlām tumheñ kyā ma.alūm
surḳh-rū kaun huā kūcha-e-jānāñ meñ kabhī
nāmvar bhī hue badnām tumheñ kyā ma.alūm
do qadam bhī na chale rāh-e-vafā meñ ham log
hai abhī zauq-e-talab ḳhaam tumheñ kyā ma.alūm
jo jalā raat kī tanhā.ī meñ us par bhī 'ḳhayāl'
bevafā.ī kā hai ilzām tumheñ kyā ma.alūm
Top Urdushayar.com