vo jitne duur haiñ utne hī mere paas bhī haiñ
ye aur baat hai ḳhush haiñ magar udaas bhī haiñ
ye dekhnā hai hameñ kis kā zauq kaisā hai
yahāñ sharāb bhī hai zahr ke gilās bhī haiñ
unhī pe tohmat-e-dīvāngī lagāte ho
jo ittifāq se mahfil meñ rū-shanās bhī haiñ
jo raushnī ke libāde ko oḌh kar aa.e
shab-e-siyāh ke vo mātamī libās bhī haiñ
tum apne shahr meñ amn-o-amāñ kī baat karo
jahāñ sukūñ hai vahāñ log bad-havās bhī haiñ
ġhazal ke saaz haiñ faiz-ul-hasan-'ḳhayāl' jahāñ
vahāñ pe aah ba-lab bhī haiñ mahv-e-yās bhī haiñ