ai dil achchhā nahīñ masrūf-e-fuġhāñ ho jaanā
ġham kī tauhīn hai ashkoñ kā ravāñ ho jaanā
dil kī āvāz bhī majrūh jahāñ hotī hai
aise hālāt meñ ḳhāmosh vahāñ ho jaanā
mere aañsū jo gireñ Taañk lo tum juuḌe meñ
dekh le koī to phūloñ kā gumāñ ho jaanā
ahl-e-sāhil ko bhī andāza-e-tūfāñ ho jaa.e
qatra-e-ashk zarā sail-e-ravāñ ho jaanā
ruḳhsat-e-mausam-e-gul ke bhī uThāo sadme
itnā āsāñ nahīñ ehsās-e-ḳhizāñ ho jaanā
qaid-e-mausam nahīñ naġhmāt-e-anā dil ke liye
koī mausam ho gul-e-tar kī zabāñ ho jaanā
mere jiine kā sahārā thiiñ jo nazreñ kal tak
kyā sitam hai unheñ nazroñ kā garāñ ho jaanā
shauq-afzā hai ye andāz-e-hijāb-e-ḳhūbāñ
dil meñ rahte hue āñkhoñ se nihāñ ho jaanā
vo gulistāñ meñ jo aa jaa.eñ to mumkin hai 'ḳhayāl'
muskurātī huī kaliyoñ kā javāñ ho jaanā