kāñch ke shahr meñ patthar na uThāo yaaro
mai-kada hai ise maqtal na banāo yaaro
sahn-e-maqtal meñ bhī mai-ḳhāna sajāo yaaro
shab ke sannāTe meñ hañgāma machāo yaaro
zindagī bikne chalī aa.ī hai bāzāroñ meñ
is janāze ke bhī kuchh daam lagāo yaaro
jin kī shah-e-rag kā lahū phuul kī añgḌā.ī thā
un ko ab hāl-e-gulistāñ na batāo yaaro
phailte sāya-e-shab meñ na chalo ruk ruk ke
bujhtī rāhoñ ko kaf-e-pā se sajāo yaaro
bazm-e-yārāñ meñ vo kuchh soch ke aayā hogā
aise dīvāne ko Thokar na lagāo yaaro
raat Dhal jā.egī mai-ḳhāna sambhal jā.egā
koī naġhma koī paiġhām sunāo yaaro
zindagī reñgtī phirtī hai yahāñ kāsa-ba-kaf
us ko ab vaqt kā ā.īna dikhāo yaaro
ab dhuñdlakoñ meñ bhī hai taaza ujāloñ kā 'ḳhayāl'
shab kī dīvār salīqe se girāo yaaro