log kahte haiñ ki qātil ko masīhā kahiye
kaise mumkin hai añdheroñ ko ujālā kahiye
chehre paḌhnā to sabhī siikh ga.e haiñ lekin
kaisī tahzīb hai apnoñ ko parāyā kahiye
jaane pahchāne hue chehre nazar aate haiñ
vaqt qātil hai yahāñ kis ko masīhā kahiye
aap jis peḌ ke saa.e meñ khaḌe haiñ is ko
sehn-e-gulshan nahīñ jaltā huā sahrā kahiye
sab ke chehroñ pe haiñ aḳhlāq-o-muravvat ke naqāb
kis ko apnā yahāñ aur kis ko parāyā kahiye
shab ke māthe pe koī saaya numūdār huā
us ko ab pyaar ke āñgan kā saverā kahiye
zahr-e-tanhā.ī-e-ġham pī ke mohabbat meñ 'ḳhayāl'
kis tarah maut ko jiine kā sahārā kahiye