Azhar Hashmi

tasbih-e-qumri sarw-e-sanobar sameT lo

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
tasbīh-e-qumrī sarv-e-sanobar sameT lo
jaanā hai is dayār se manzar sameT lo
parvāz-e-kāmyābī kī bas itnī shart hai
chāhat hisār-e-nafas ke andar sameT lo
us ashk kī taḌap ke muqābil meñ kuchh nahīñ
ab chāhe chashm-e-nam meñ samundar sameT lo
tāqat pe pahle apnī to raazī ḳhudā karo
phir bāzūoñ meñ tum dar-e-ḳhaibar sameT lo
merā makāñ nahīñ hai ḳhatā-bīñ ke vāste
aao magar mizāj ko bāhar sameT lo
'az.har' ye daur-e-aish hai yaañ jiine ke liye
āzurda zehn aur dil-e-muztar sameT lo
Top Urdushayar.com