āzurda nigāhoñ pe ye manzar nahīñ utrā
sahrā-e-tasavvur meñ koī ghar nahīñ utrā
jab mil gayā irfān-e-nazar mujh ko ḳhudā se
phir kyuuñ mire ehsās se mahshar nahīñ utrā
dekhā nahīñ jis ne mire tūfāñ ko sukūñ meñ
vo shaḳhs mirī ruuh ke andar nahīñ utrā
zālim to bahut haiñ magar ab un ko miTāne
phir koī abābīl kā lashkar nahīñ utrā
is masnad-e-ḳhākī pe maiñ baiThā huuñ jahāñ par
koī bhī mahal-sāz barābar nahīñ utrā
tanhā.ī jahāñ bhī milī ādāb kiyā hai
haq-talfī pe us kī mirā paikar nahīñ utrā
samjhaute bulāte rahe de kar mujhe gauhar
īmāñ ke ziyāñ meñ magar 'az.har' nahīñ utrā