Azhar Hashmi

mere wajud ka mehwar chamakta rahta hai

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
mire vajūd kā mehvar chamaktā rahtā hai
isī sanad se muqaddar chamaktā rahtā hai
kisī mazār pe chhā.ī hai ḳhaak muflis kī
kisī mazār kā patthar chamaktā rahtā hai
ye kaisī rasm-e-halākat bhī pā ga.ī hai rivāj
ye kaise ḳhuun kā manzar chamaktā rahtā hai
mirī nigāh ko manzil kī raushnī hai aziiz
balā se mel kā patthar chamaktā rahtā hai
jo uTh ke ḳhaak se parvāz kā ujālā banā
usī parinde kā shahpar chamaktā rahtā hai
miTā ke hausle bātil ke aao sū-e-haq
qadam baḌhāo ki rahbar chamaktā rahtā hai
nujūm shams qamar aur jalne lagte haiñ
suḳhan-varoñ meñ jab 'az.har' chamaktā rahtā hai
Top Urdushayar.com