Azhar Hashmi

jo daulat taraqqi-rasai bahut hai

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
jo daulat taraqqī-rasā.ī bahut hai
to aapas meñ us se judā.ī bahut hai
agar tujh meñ ulfat samā.ī bahut hai
to sun lo yahāñ be-vafā.ī bahut hai
kabhī dard maañ ko nahīñ do ki is kī
har ek aah meñ gahrī khaa.ī bahut hai
ḳhudā kī razā hai na hāsil kisī ko
ḳhudā ke liye par laḌā.ī bahut hai
mohabbat luTā.ī hai apno pe behad
magar choT apno se khaa.ī bahut hai
haqīqat meñ vo daur kaafī hai mujh se
tasavvur meñ jo paas aa.ī bahut hai
siyāsat ne jashn-e-charāġhāñ ke badle
ġharīboñ kī bastī jalā.ī bahut hai
har ik shai se le kar zamīn-o-falak ko
mayassar ḳhudā kī ḳhudā.ī bahut hai
agar mujh ko īmāñ kī parvāh na hotī
to duniyā meñ 'az.har' kamā.ī bahut hai
Top Urdushayar.com