Azhar Hashmi

jafaon ki numaish hai kisi se kuchh nahin bolen

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
jafāoñ kī numā.ish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ
sitamgar kī satā.ish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ
mujhe tanhā.ī paḌhnī hai magar ḳhāmosh lahje meñ
yahī mahfil kī ḳhvāhish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ
mire afkār pe bole baḌī tahzīb se zāhid
muqaddar āzmā.ish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ
ye jo behāl sā manzar ye jo bīmār se ham tum
siyāsat kī navāzish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ
udhar hai jaam hāthoñ meñ laboñ pe muskurāhaT hai
udhar jab ḳhuuñ kī bārish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ
mulāzim banñā thā kis ko mulāzim ban gayā koī
hunar zer-e-sifārish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ
zabāñ āzād hai jo bhī vahī to zinda hai lekin
zabāñ pe kaisī bandish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ
adāvat kī yahāñ 'az.har' jo ik chiñgārī uTThī thī
vo bantī jaatī ātish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ
Top Urdushayar.com