Azhar Hashmi

guzre hue lamhat ko ab DhunD raha hun

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
guzre hue lamhāt ko ab DhūñD rahā huuñ
maiñ apne muqaddar meñ ġhazab DhūñD rahā huuñ
sajde kā sabab jaan ke shīrīñ hai pareshāñ
farhād ne kah Daalā ke rab DhūñD rahā huuñ
vo haiñ ki nibhāne bhī lage vasl ke ādāb
maiñ huuñ ki taġhāful kā sabab DhūñD rahā huuñ
zālim mujhe phir saikḌoñ ġham dene lagā hai
maiñ zindagī meñ ek ḳhushī jab DhūñD rahā huuñ
kyuuñ mujh ko suḳhnavar kaho pāgal na kaho tum
har bazm meñ jo bazm-e-adab DhūñD rahā huuñ
āzurda thī ġhurbat meñ mire dost kī hijrat
kuchh maiñ bhī pareshāñ huuñ arab DhūñD rahā huuñ
bas ek pata hī to mujhe yaad hai 'az.har'
dīvāna hai kyā tujh ko maiñ kab DhūñD rahā huuñ
Top Urdushayar.com