kabhī madhur kabhī mīThī zabāñ kā shā.ir huuñ
isī sanad se maiñ hindostāñ kā shā.ir huuñ
dikheñge mujh meñ tumheñ zaḳhm ghaav dono hī
ḳhilāf-e-zulm ke aajiz bayāñ kā shā.ir huuñ
maiñ apnī fikr ko mahdūd rakh nahīñ saktā
zamīn-o-arsh makīn-o-makāñ kā shā.ir huuñ
gumān kahtā hai ke maiñ yaqīñ kā shā.ir huuñ
yaqīn kahtā hai ke maiñ gumāñ kā shā.ir huuñ
jahāñ hai zarrā qamar aur jahāñ qamar zarrā
maiñ us zamīñ kā maiñ us āsmāñ kā kā shā.ir huuñ
abhī mujhe na suḳhnavar kaho mire ahbāb
abhī suḳhan meñ faqat imtihāñ kā shā.ir huuñ
mujhe na dekho yuuñ nafrat bharī nigāhoñ se
maiñ 'hāshmī' huuñ maiñ amn-o-amāñ kā shā.ir huuñ