Azhar Hashmi

bas ranj ki hai dastan unwan hazaron

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
bas rañj kī hai dāstāñ unvān hazāroñ
jiine ke liye mar ga.e insān hazāroñ
vo jis ne mirī ruuh ko dard-āshnā rakkhā
haiñ mujh pe usī zaḳhm ke ehsān hazāroñ
jis ḳhaak se kahte ho vafā ham nahīñ karte
so.e haiñ usī ḳhaak meñ sultān hazāroñ
ik rasm-e-takabbur hai so is daur ke insāñ
jeboñ meñ liye phirte haiñ pahchān hazāroñ
lāzim hai masāfat meñ bhaTak jaanā hamārā
ham tanhā musāfir ke haiñ sāmān hazāroñ
ab hai faqat andesha-e-hālāt mayassar
ham dil meñ kabhī rakhte the armān hazāroñ
ye shahr-e-suḳhan hai yahāñ har moḌ pe 'az.har'
hoshiyār bane baiThe haiñ nādān hazāroñ
Top Urdushayar.com