Azhar Hashmi

wafa KHulus ka singar rose karti hai

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
vafā ḳhulūs kā siñgār roz kartī hai
yuuñ dhīre dhīre mirī zindagī sañvartī hai
koī hayāt zamāne ko hai aziiz bahut
koī hayāt hai ki roz roz martī hai
tire charāġh kā fānūs ḳhud havā hai aur
mire charāġh se zālim havā guzartī hai
to phir vajūd-e-imārat nazar kā hai dhoka
jab iiñT iiñT hī ta.amīr se mukartī hai
duā ye kījiye yāroñ ki hosh meñ aa.uuñ
mirī nigāh mohabbat talāsh kartī hai
na ḳhud ke rahtā hai insāñ na dūsroñ ke qarīb
koī hasīn shanāsā.ī jab bikhartī hai
sitamgaroñ ko ibādat-guzār mat jaano
ḳhudā kī bandagī 'az.har' ḳhudā se Dartī hai
Top Urdushayar.com