Azhar Hashmi

gar eqtidar-e-sukun eqtidar-e-wahshat hai

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
gar eqtidār-e-sukūñ eqtidār-e-vahshat hai
to phir dayār-e-mohabbat dayār-e-vahshat hai
darāz ho rahe imkāñ bhī ab ibādat ke
hisār-e-bandagī goyā hisār-e-vahshat hai
har ek shaḳhs hai tasvīr-e-kāmrāñ ḳhud meñ
anā kī āb-e-havā meñ ḳhumār-e-vahshat hai
davām pā.egā ik roz haq zamāne meñ
ye intizār nahīñ intizār-e-vahshat hai
guloñ meñ husn nahīñ aur chaman bhī āzurda
mire qarīb huvaidā bahār-e-vahshat hai
abhī na pūchhiye hāl-e-ġham-e-dil-e-'az.har'
abhī nazar meñ muqaddam ġhubār-e-vahshat hai
Top Urdushayar.com