Mahirul Qadri

saqi ki nawazish ne to aur aag laga di

Mahirul Qadri

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1906-1978
saaqī kī navāzish ne to aur aag lagā dī
duniyā ye samajhtī hai mirī pyaas bujhā dī
ek baar tujhe aql ne chāhā thā bhulānā
sau baar junūñ ne tirī tasvīr dikhā dī
is baat ko kahte hue Darte haiñ safīne
tūfāñ ko ḳhudī dāman-e-sāhil ne havā dī
maanā ki maiñ pāmāl huā zaḳhm bhī khaa.e
auroñ ke liye raah to āsān banā dī
utnī to mai-e-nāb meñ garmī nahīñ hotī
saaqī ne koī chiiz nigāhoñ se milā dī
vo chain se baiThe haiñ mire dil ko miTā kar
ye bhī nahīñ ehsās ki kyā chiiz miTā dī
ai bād-e-chaman tujh ko na aanā thā qafas meñ
tū ne to mirī qaid kī mī.ād baḌhā dī
le de ke tire dāman-e-umīd meñ 'māhir'
ek chiiz javānī thī javānī bhī luTā dī
Top Urdushayar.com