Azhar Hashmi

shahr ko aatish-e-ranjish ke dhuan tak dekhun

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
shahr ko ātish-e-ranjish ke dhuāñ tak dekhūñ
maqtal ziist ko āḳhir maiñ kahāñ tak dekhūñ
phir ye mānūñgā ḳhamoshī pe zavāl aayā hai
dil dhaḌakne kī sadā jab maiñ zabāñ tak dekhūñ
ye tamannā hai ḳhudā ālam-e-hastī meñ tire
maiñ ayaañ dekhnā chāhūñ to nihāñ tak dekhūñ
jab ki ab rābta rakhne kā bahut hai imkāñ
phir bhī vīrāniyāñ phailīñ haiñ jahāñ tak dekhūñ
kyā tasavvur mirī āñkhoñ ne navāzā hai mujhe
ḳhud ko dekhūñ to maiñ ehsās-e-ziyāñ tak dekhūñ
māntā huuñ ki hai zulmāt-e-azal us kā nasīb
raat kī zid hai use apnī fuġhāñ tak dekhūñ
ye bhī aslāf kī tahzīb hai 'az.har' maiñ yahāñ
apnā kirdār tamām amn-e-amāñ tak dekhūñ
Top Urdushayar.com