Azhar Hashmi

ye kam nahin ke wahi sham ka sitara hai

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
ye kam nahīñ ke vahī shaam kā sitāra hai
jise fazīlat-e-tanhā.ī ne ubhārā hai
kahīñ surāġh nahīñ hai kisī bhī qātil kā
lahūluhān magar shahr kā nazāra hai
maiñ jā rahā huuñ mukammal vajūd paane ko
mujhe bhī sūrat-e-imkāñ ne ab pukārā hai
vo hañs ke har shab-e-zulmāt kaaT dete haiñ
vo jin ke siine meñ aflāk kā sipārā hai
charāġh jaltā rahegā hamesha ulfat kā
yahī vajūd ke anvār kā ishāra hai
ye kaisī sūrat-e-mahtāb khul rahī hai magar
zamīñ pe kis ne ise arsh se utārā hai
anā-shikār pe zāhir ye kab huā 'az.har'
use nibhāne meñ taqdīr kā ḳhasāra hai
Top Urdushayar.com