Azhar Hashmi

KHamosh zaban se jab taqrir nikalti hai

Azhar Hashmi

Munger, Bihar, India

1990
ḳhāmosh zabāñ se jab taqrīr nikaltī hai
lagtā hai ki pairoñ se zanjīr nikaltī hai
TuuTā huā badhnā thā shāyad ki vuzū kā ho
aisī bhī to purkhoñ kī jāgīr nikaltī hai
jo daaġh hai sajde kā peshānī-e-momin par
us daaġh se ho kar hī taqdīr nikaltī hai
miltī hai ḳhushī sab ko jaise hī kahīñ se bhī
bhūlī hui bachpan kī tasvīr nikaltī hai
majrūh qalam ko jab har lafz duā de deñ
tā umr qalam se phir tahrīr nikaltī hai
ho amn yahāñ ham meñ sochā thā magar 'az.har'
dekhā to har ik ghar se shamshīr nikaltī hai
Top Urdushayar.com