kis qayāmat kī ghaTā chhā.ī hai
dil kī har choT ubhar aa.ī hai
dard badnām tamannā rusvā
ishq rusvā.ī hī rusvā.ī hai
us ne phir yaad kiyā hai shāyad
dil dhaḌakne kī sadā aa.ī hai
zulf o ruḳhsār kā manzar tauba
shaam aur sub.h kī yakjā.ī hai
ham se chhup chhup ke sañvarne vaale
chashm-e-ā.īna tamāshā.ī hai
dil tamannā se hai kitnā be-zār
Thokareñ khā ke samajh aa.ī hai
tum se 'māhir' ko nahīñ koī gila
us ne qismat hī burī paa.ī hai