surūr-e-ishq ne ulfat se bāñdh rakkhā hai
tirī ġharaz ne mohabbat se bāñdh rakkhā hai
ajab kashish hai tire hone yā na hone meñ
gumāñ ne mujh ko haqīqat se bāñdh rakkhā hai
kabhī kabhī to mujhe TūTtā dikhā.ī de
jo ek ahd qayāmat se bāñdh rakkhā hai
shah-e-jamāl tire shahr ke faqīroñ ko
kamāl-e-hijr ne vahshat se bāñdh rakkhā hai
bhaTak rahā huuñ maiñ ġhār-e-tilism ke andar
ki ilm tū ne jahālat se bāñdh rakkhā hai