ham vo panchhī jin ke ghar se duur basere hote haiñ
raat ko ḳhvāb ḳhayāl ke lashkar dil ko ghere hote haiñ
soch soch kar mar jaatī haiñ ḳhvāboñ kī ta.abīreñ bhī
ḳhvāb jo tere hote haiñ aur ḳhvāb jo mere hote haiñ
ishq kā hāsil kuchh bhī ho ik nisbat bhī kyā kam shai hai
kuchh naañ kuchh to hote haiñ jo baal bikhere hote haiñ
dil kī sham.eñ jalne do in āñkhoñ ko raushan kar lo
kahte haiñ dil jalte haiñ to duur añdhere hote haiñ
qismat likhtī jaatī hai ham us ko paḌhte jaate haiñ
'arshad' ab to yādoñ hī meñ ghar ke phere hote haiñ