tire ḳhayāl se phir aañkh merī pur-nam hai
ki ġham ziyāda hai aur hausla mirā kam hai
baqā ke vāste sadiyoñ se jañg jaarī hai
fanā ke shor-sharābe se naak meñ dam hai
nahīñ to kab kā mukammal maiñ ho chukā hotā
jise maiñ apnā samajhtā huuñ us meñ kuchh kam hai
ajiib daur hai ye daur mary mushkil kā
savāl meñ hai na koī javāb meñ dam hai
maiñ jis ko DhūñD rahā huuñ ka.ī zamānoñ se
mujhe ho ilm ki vo merī zaat meñ zam hai
namāz paḌhtā huuñ aur us ko yaad kartā huuñ
mire ḳhayāl meñ ik pāñchvāñ bhī mausam hai