mohabbat sirf ik jazba nahīñ hai
nazar aatā hai jo vaisā nahīñ hai
sabhī ta.abīr us kī likh rahe haiñ
kisī ne bhī use dekhā nahīñ hai
kisī khaa.ī meñ vo bhī jā girā hai
jo terī raah se guzrā nahīñ hai
na kar siine ke ātish-dān ThanDe
bujhā dil phir kabhī jaltā nahīñ hai
chalo bāhar se ho kar lauT aa.eñ
ka.ī din se koī aayā nahīñ hai
nazar mahtāb se Takrā ga.ī hai
to kyā aage koī rasta nahīñ hai
ḳhalā kā mas.ala hī muḳhtalif hai
samundar is qadar gahrā nahīñ hai
qayāmat aa rahī hai jā rahī hai
magar ye āsmāñ TuuTā nahīñ hai