koī nahīñ hai intizār sub.h-e-visāl ke sivā
koī talab nahīñ mujhe tere jamāl ke sivā
kis ke savāl par ye dil rotā hai saarī saarī raat
kaun habīb hai mirā tere ḳhayāl ke sivā
koī nahīñ jo ruuh par aisā bhalā asar kare
nashshe tamām haiñ vajūd terī misāl ke sivā
chashma-e-ḳhvāb se mujhe donoñ jahāñ atā hue
kuchh bhī nahīñ hai mere paas raḳht-e-ma.āl ke sivā
aao havā ke vāste mil ke sabhī duā kareñ
rasta koī dikhā.ī de sūrat-e-hāl ke sivā