ruḳh-e-hayāt hai sharminda-e-jamāl bahut
jamī huī hai abhī gard-e-māh-o-sāl bahut
gurez-pā hai jo mujh se tirā visāl to kyā
mirā junūñ bhī hai āmāda-e-zavāl bahut
mujhe har aan ye detā hai vasl kī lazzat
vafā-shanās hai tujh se tirā ḳhayāl bahut
kitāb-e-zīst ke har ik varaq pe raushan haiñ
ye terī farda-nigāhī ke ḳhad-o-ḳhāl bahut
palaT ga.e jo parinde to phir gila kyā hai
har ek shāḳh-e-shajar par bichhe haiñ jaal bahut
tumheñ hai naaz agar apne husn-e-sarkash par
to merā ishq bhī hai rū-kash-e-jamāl bahut
azān-e-sub.h kī har lai kī taar TuuT ga.e
faroġh-e-zulmat-e-shab kā hai ye kamāl bahut
kisī bhī pyaas ke maare kī pyaas bujh na sakī
samundaroñ meñ to aate rahe uchhāl bahut