Bakhsh Layalpuri

dida-e-be-rang mein KHun-rang manzar rakh diye

Bakhsh Layalpuri

Kapurthala, Punjab, India

1934-2002
dīda-e-be-rañg meñ ḳhūñ-rañg manzar rakh diye
ham ne is dasht-e-tapāñ meñ bhī samundar rakh diye
vo jagah jo la.al-o-gauhar ke liye maqsūd thī
kis ne ye sañg-e-malāmat us jagah par rakh diye
ab kisī kī chīḳh kyā ubhre ki mīr-e-shahr ne
sākinān-e-shahr ke sīnoñ pe patthar rakh diye
shāḳh-sāroñ par na jab izn-e-nasheman mil sakā
ham ne apne āshiyāñ dosh-e-havā par rakh diye
ahl-e-zar ne dekh kar kam-zarfī-e-ahl-e-qalam
hirs-e-zar ke har tarāzū meñ suḳhan-var rakh diye
ham to abresham kī sūrat narm-o-nāzuk the magar
talḳhī-e-hālāt ne lahje meñ ḳhanjar rakh diye
jis havā ko vo samajhte the ki chal saktī nahīñ
us havā ne kaaT kar lashkar ke lashkar rakh diye
'baḳhsh' sayyād-e-azal ne hukm-e-āzādī ke saath
aur asīrī ke bhī ḳhadshe dal ke andar rakh diye
Top Urdushayar.com