Bakhsh Layalpuri

tishnagi-e-lab pe hum aks-e-ab likkhenge

Bakhsh Layalpuri

Kapurthala, Punjab, India

1934-2002
tishnagi-e-lab pe ham aks-e-āb likkheñge
jin kā ghar nahīñ koī ghar ke ḳhvāb likheñge
tum ko kyā ḳhabar is kī zindagī pe kyā biitī
zindagī ke zaḳhmoñ par ham kitāb likkheñge
jis havā ne kaaTī haiñ ḳhāmushī kī zanjīreñ
us havā ke lahje ko inqalāb likkheñge
jhuuT kī parastish meñ umr jin kī guzrī hai
tīrgi-e-shab ko vo āftāb likkheñge
sher kī sadāqat par ham yaqīn rakhte haiñ
maslahat ke chehroñ ko bā-naqāb likkheñge
sūliyoñ pe jhūlegā bad-nihād har munsif
munsifī kā jab bhī ham ḳhud nisāb likkheñge
ġham nahīñ jo ḳhvāboñ kī luT ga.ī haiñ ta.abīreñ
ham nazar ke tāqoñ meñ aur ḳhvāb likkheñge
hirz-e-jāñ samajhte haiñ ham vatan kī miTTī ko
apne ghar ke ḳhāroñ ko ham gulāb likkheñge
is ġhazal ke partav meñ be-gharoñ kī bāteñ haiñ
be-gharoñ ke naam is kā intisāb likkheñge
har dalīl kāTeñge ham dalīl-e-raushan se
'baḳhsh' sau savāloñ kā ik javāb likkheñge
Top Urdushayar.com